Tuesday, 31 October 2017

Aurato Ko Nasihat➪ Post No.27

πŸ’–πŸŒΏπŸ’–πŸŒΏ ﷽ πŸ’–πŸŒΏπŸ’–πŸŒΏ

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.27*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

*✦Hazrat Rabiaa Basariya Rh..  Ka Bachpan Or Unka Zuhad V Taqwa✦.*

Hazrat Rabiaa Basariya Rh..  Se Jo Auliya E Kamilin Me Se Thi Kisi Shakhs Ne Pucha Ke

Allah Ta'Aala Ki Talab Ka Rasta Aap Ke Hath Kaise Laga?

Yaani Allah Tal'ala Ki Talab Ki shuruwat kaise Hui?

Farmaya Ke Me Saat Saal Ki Thi Ke Basra Me Kahat *「Sukha」* Pada,

Mere Maa Baap Ki Vafat Ho Gayi Or Meri Bahene Mutafarrik (Alag Alag) Ho Gayi.

Or Mujhe Rabiaa (Chothi, Small) Is Liye Kehte Hai Ke Meri Teen Bahene Or Thi Chothi Me Thi.

Pas Me Ek Zalim Ke Hath Padi, Usne Mujhko 6 Dirham Me Bech Dala.

Jis Shakhs Ne Mujhko Kharida Tha Wo Mujhse Sakht Se Sakht Kaam Leta Tha.

Ek Roz Me Kothe Se Gir Padi Or Mera Hath Toot Gaya.

Mene Apna Chehra Zameen Par Rakha Or Arz Kiya :

Baare Khudaya!
Me Ek Garib Yateem Ladki Hu Ek Shakhs Ki Qaidi Padi Hu.

Mujh Par Raham Farma Me Teri Raza Chahti Hun, Agar Tu Razi Hai To Fir Mujhe Koi Fikar Nahi.

*✦Aage Ka Qissa Agle Part Me Insha Allah✦*

*πŸ“£ Next Post Jald Insha AllahπŸ“£*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
✔ *_Subscribe YouTube Channel_*
πŸ“Ž Youtube.com/DeenKaDaayi
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
πŸ’–πŸŒΏπŸ’–πŸŒΏ   πŸ’–πŸŒΏπŸ’–πŸŒΏπŸ’–

No comments:

Post a Comment